Saturday, 9 November 2019

Milaad Un Nabi صلي الله تعلي عليه وسلم Quraan📖 se

Humne Ulama or mashaikhine ikraam Se aur Apne buzurgo ki kitaabo me padha bhi hai aur us silsile me Kayi Articals Bhi Social media Ke Zariye se Logo me Share Kiye hai... Aur Aakhri Dum Tak Insha Allah Share karte Rahege.. *KHAAK HO JAAYE ADUU JAL🔥 KAR.. MAGAR HUM TO RAZA💓* *DUM ME JAB TAK DUM HAI?? ZIKR UNKA SUNAATE JAENGE💓🌹💐* ALLAH FARMATA HAI.. ★ *لَقَدۡ مَنَّ اللّٰہُ عَلَی الۡمُؤۡمِنِیۡنَ اِذۡ بَعَثَ فِیۡہِمۡ رَسُوۡلًا مِّنۡ اَنۡفُسِہِمۡ یَتۡلُوۡا عَلَیۡہِمۡ اٰیٰتِہٖ وَ یُزَکِّیۡہِمۡ وَ یُعَلِّمُہُمُ الۡکِتٰبَ وَ الۡحِکۡمَۃَ ۚ وَ اِنۡ کَانُوۡا مِنۡ قَبۡلُ لَفِیۡ ضَلٰلٍ مُّبِیۡنٍ* ﴿۱۶۴﴾ ☆ Tarjuma Kanzul Imaan: ◆ *بے شک اللّٰہ کا بڑا احسان ہوا (ف۳۱۱) مسلمانوں پر کہ ان میں انہیں میں سے (ف۳۱۲) ایک رسول (ف۳۱۳)بھیجا جو ان پراس کی آیتیں پڑھتا ہے(ف۳۱۴)اور انھیں پاک کرتا ہے(ف۳۱۵)اور انھیں کتاب و حکمت سکھاتاہے(ف۳۱۶) اور وہ ضرور اس سے پہلے کھلے گمراہی میں تھے* (ف۳۱۷) ◆ *बेशक अल्लाह का बड़ा एहसान हुआ (फ़311) मुसलमानों पर कि उनमें उन्हीं में से (फ़312) एक रसूल (फ़313) भेजा जो उन पर उसकी आयतें पढ़ता है (फ़314) और उन्हें पाक करता है (फ़315) और उन्हें किताब व हिक्मत सिखाता है (फ़316) और वह ज़रूर इससे पहले खुली गुमराही में थे।* (फ़317) 📖 AL-IMRAN - 3:164 ____________________ ▪ Tafseer Khazain ul Irfan: ( 311 fa ) منّت نعمتِ عظیمہ کو کہتے ہیں اور بے شک سیّدِعالم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کی بعثت نعمتِ عظیمہ ہے کیونکہ خلق کی پیدائش جہل و عدمِ دَرَایَت و قلتِ فہم و نقصانِ عقل پر ہے تو اللّٰہ تعالیٰ نے رسولِ کریم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کو ان میں مبعوث فرما کر انہیں گمراہی سے رہائی دی اور حضور کی بدولت انہیں بینائی عطا فرما کر جہل سے نکالا اور آپ کے صدقہ میں راہ ِراست کی ہدایت فرمائی اور آپ کے طفیل میں بے شمار نعمتیں عطا کیں۔ ( 312 fa ) یعنی اُنکے حال پرشفقت و کرم فرمانے والا اور اُن کے لئے باعثِ فخرو شرف جس کے احوال زُہد وَرَع راست بازی دیانت داری خصائلِ جمیلہ اخلاقِ حمیدہ سے وہ واقف ہیں۔ ( 313 fa ) سیّدِ عالم خاتَم الانبیاء محمد مصطفے صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم۔ ( 314 fa ) اور اُس کی کتابِ مجید فرقانِ حمید اُنکو سُناتاہے باوجود یہ کہ اُن کے کان پہلے کبھی کلامِ حق ووحیِ سماوی سے آشنا نہ ہوئے تھے۔ ( 315 fa ) کُفرو ضلالت اور ارتکاب ِمحرمات و معاصی اور خصائلِ ناپسندیدوملکاتِ رذیلہ و ظلماتِ نفسانیہ سے۔ ( 316 fa ) اور نفس کی قوت عملیہ اور علمیہ دونوں کی تکمیل فرماتا ہے۔ ( 317 fa ) کہ حق و باطِل و نیک و بدمیں امتیاز نہ رکھتے تھے اور جہل و نابینائی میں مبتلا تھے۔ ----------------------- To Be Continued... 📡 Facebook.com/Maslakealahazrat.sg *©Maslak e Alahazrat Social Group*

Friday, 8 November 2019

Milaad Un Nabi صلي الله تعالي عليه وسلم Ko Eid Kehna Kaisa??

Aaiye Pahele Hum *Eid* Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Mana Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega *Eid* Ise Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu... *Kaha Esa Aban E Mariyam Ne: Aye ALLAH! Aye Hamare Rab!Hum Par Aasman Ss Ek Khuwan Utar Ke Wo(Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur Pishlo Ki* 📖 Surah Maida Aayat 114 👆🏽Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Esa Ne Dua Mangi.. Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa Alihissalam Par Khuwan E Nemat Utry To Wo Un K Agly Aur Pichlon Ke Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye Jahan K Liye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho? *Hazrat Allama Mulla Ali Qari* Miskat Ki Shrah Me Imam raghim K Hawale Se Lafz E Eid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo Bar Bar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha Ko Kahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi Manane K Liye Mukarrar Kiya Gaya Hai Jis Tarha Nabi Sallallaho Alihe wasallam Ne Apne Is farman me Tambih Ki hai Ke (Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hone Laga (📚Mirat Ul Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma) 👆🏽👆🏽Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi Yahi Farma rahe hai K Eid Ka Lafaz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai.. *NABI e Mu’ajjam, Sarapa Judo karam Salllaho Aliahe Wasallam ne farmaya ki Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik Eidul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. ALLAH ne isi me Hazrate ADAM alaihissalam ko paida kiya, Isi me Zameen par unhe utara Aur Isi me Unhe wafat di* 📚 Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No. 1084 👆🏽👆🏽👆🏽Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai, jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unka zameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya. Ki woh din Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya... To hamare Sarkar e do Jahan jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unki tashrif aavari par hum us din ko kyun *Eid* na kahe?? balke hum tou use *Eido ki Eid kahenge* ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me *52 Eido (juma)* ka tohfa mila woh isi rahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. tou hum kyun us din khushi na kare??? •••••••••••••••••••••••••••••• Facebook.com/Maslakealahazrat.sg *©Maslak e Alahazrat Social Group*

Nabi Pak صلي الله تعالي عليه وسلم Ne Khud Apni Wilaadat par Khuda Ka Shukr Baja Laane Talkeen Ki aur Targeeb Bhi Dilaayi

Tafseeri Bayan.. Mundarja Zell👇🏽 hai... Hadees E Taweel is Reference ki Madad se Check Karen.. 📚 *Muslim Sharif, Jild – 2, Safa – 819* 📚 *Nisaai Sharif, Jild – 2, Safa – 147* 📚 *Baihaqi Sharif, Jild – 4, Safa – 286* Ye Thi Milad Un Nabi صلي الله تعالي عليه وسلم Manane Ke Dalail. ••••••••••••••••••••••••••••••• *©Maslak e Alahazrat Social Group*

Milaad Un Nabi صلي الله تعالي عليه وسلم kis Kisne Manaya (Dalail)

*"Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Salllaho Aliahe Wasallam NeApni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye"* 📚 Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201 *"Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai Rasool-E-Karim Salllaho Aliahe Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua”* 📚 Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page 1162 📚 Nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777 *"Huzur Sallallaho Alihe Wasallam Ki Wiladat Hui Tab Abu lahab Ki Laundi Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha K Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Aazad Kiya Tha “Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Haalat Mein Dekha To Usse Puchha “Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa’ee Nahi PayiLekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata HaiIs Se Maine Hazrat Muhammad (Sallalahu AlaihiWa Salam) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Abu-Lahab Ki Londi) Ko Aazad Kiya Tha"* 📚Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah 👆🏽👆🏽👆🏽👆🏽👆🏽 Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaih Rehma nay MA SABTA MINAS SUNNA main (📚Sahih Bukhari, V1, P153, Hadith No. 5101 Kitabunnikah ) Ki Ye Hadith naqal farmaya hai, Abu Lahab ki londi thee jiska naam Sobia tha, usnay Sarwar e Do Alam Sallallaho Alaihay Wasallam ki peda’ish par Abu lahab ko khabar di thee to Aap Sallallaho Alaihay Wasallam ki peda’ish ki khabar sunnay par Abu Lahab nay Sobia ko azaad kardiya …tha. Tou Abu Lahab k marnay k baad kisi nay usay khuwaab main dekha, poocha k ‘kaho kia haal hay’ to woh bola AAG main hoon albatta itna karam hay k har Peer ki raat mujh par takhfeef kardi jaati hay aur isharay say bataya k *APNI DO UNGLIYUN SAY PANI CHOOS LAYTA HOON* aur yeh inayat mujh par is waja say hay k mujhay Sobia nay bhatijay ki peda’ish ki khabar di thee to is basharat ki khushi main, mainay usay do ungliyun k isharay say azaad kardi tha aur phir usnay usay doodh pilaya tha) ispar Allama Jazri Alaih Rehma farmatay hain k jab Abu Lahab jaisay kafir k yeh haal hay k usko Huzoor Sallallaho Alaihay Wasallam ki wiladat ki peda’ish ki raat khush honay par dozakh ki aag main bhe badla dia jaraha hay tou Rasool Allah Sallallaho Alaihay Wasallam ki ummat main say un logon k haal ka kia poochna jo aap ki peda’ish k bayan say khush hotay hain aur jis qadar bhe taqat hoti hay unki Muhabbat main kharch kartay hain, mujhay apni umar ki qasam! k unki jaza Khuda e Kareem ki taraf say yehi hogi k unko apnay fazal e ameem yani fazl e kamil say jannat un Naeem main daakhil farmaye ga.Pyare Islami Bhaiyo Zara Gour kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Muhammad Sallaho Alihe wasallam Ki Wiladat Par Unhe Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Man Kar Nahi Balki Apna Bhatija Maan kar Khushiya Manaya Tha To Use Ye faida Hua k Usi Ungli Se Use Pani Pilaya jata hai Jisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi Sobiya Ko Azad Kiya ThaHum Musalman To Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho K Hume Allah Ki Bargah Se Kya Kya Inaam Milege Duniya Aur aakhirat Me.. ----------------------- To Be Continued... *©Maslake Alahazrat Social Group*

Thursday, 7 November 2019

12 Rabiul Awwal Shareef ko Milaad Un Nabi Manane Par Ulama E Islam Ka Eij'maa

*Muhammad Salllaho Alihe Wasallam Sare Alam K liye Rahamat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne Nabi Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai..* References: 📚 Ibn-e-Ishaq (85-151 H): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87] 📚 Allama Ibn Hisham (213 H): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page 158] 📚 Imam Ibn Jarir Tabari (224-310 H): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2, Page 125] 📚 Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H): [Ailam-un-Nabuwwa, Page 192] 📚 Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi (671-734 H): [Aayun al-Asr, Vol. 1, Page 33] 📚 Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394] 📚 Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102] 📚 Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi (950-1052 H): [Madarij-un-Nabuwwah, Vol. 2, Page 14] 📚 Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88] ---------------------- To Be Continued.. *©Maslak e Alahazrat Social Group*

Milaad un Nabi صلي الله تعالي عليه وسلم Manane Ka Saboot

(1). *“Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushiya Kare"* 📖 (Surah Yunus Ayat 58) 👆🏽Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahamat Par Khushiya Manane Ka Hukum Diya hai (2). *“Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye”* 📖(Surah Ambiya Ayat 107) 👆🏽Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne Pyare Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Rahamat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahamat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai Jo In Ayato Ka Munkir Honga Jo Nabi Salallah Aihe Wasallam Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Gum Manaega Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat par... (3). “Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo” (Surah Duha Ayat11)Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukum Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Azzawjal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool Salllaho Aliahe Wasallam Hai Is Baat Ko Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu Allah Azzaajal Farmata Hai: *“Humne Momino per Ahesan kiya, ki jab unme apne Rasool Salllaho Aliahe Wasallam ko bhej diya”* 📖 (Sureh Al-Imran, Ayat 164) Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahesan Kiya hai Siwae Apne Maheboob Nabi Salllaho Aliahe Wasallam K Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Hai… --------------------- To Be Continued.. *©Maslak e Alahazrat Social Group*

Haq Ki Dawat #02

*نحمدہ ونصلی ونسلم علی رسولہ الکریم اما بعد فاعوذ باللہ من الشیطٰن الرجیم بسم اللہ الرحمن الرحیم سیم..* الصلاۃ والسلام علیک یا رسول اللہ❤️ ...